Search This Blog

Saturday, December 30, 2006

Teri Raza-Meri Raza

Nazmon ki kamzori....Kamzori meri

Main Kamzor jahan..Khuda kamzor

Friday, December 29, 2006

Nabz

Maine apni kalaiyon par pahane the kabhi haath tere
ab nabz badhti hai waqt si main har nabz ghatTa jata hoon

Tanhai kya hai janta nahin tha jab saath tha tere
Ab log milte jate hain main tanha hota jata hoon

Tu khuda hai mera jaan jayega mujhe jahan bhi hoga
Main bas har simt tujhe sajde karta jata hoon

Saansein meri har pal bhaari hoti jaati hain ab
Tujhse bichhad kar marta kya so bhi nahin pata hoon

Dard hota hai kahin aur main har pal muskurata hoon
Log padh lete hain meri aankhein tujhe chhupa nahin pata hoon

keerchein

sheeshe tootTe hain to unki keerchein
chubhti hain main nikal leta hoon
khwab ek toota hai aur uski keerchein
chubhti hain dard hota hai, dikhti nahin

nikaloon kaise!

Triveni on "Zahen"

ek nazm subah se saanson mein atki hai
kahti hai nikalo mujhe jalan hoti hai

zehan mein tera naam hai ek behtar nazm

Wednesday, December 27, 2006

Hijr

Jab bhi
Koi sher likha
Ya kabhi koi Nazm

dekha kabhi
koi Manzar
jo sukoon deta ho aankhon ko

suna kabhi
koi fikra
jis par hansi aati ho

Chhupa kar rakh liye
Yeh sab pal Maine
Zahan ke kisi kone mein

Socha
Jab milogi Kabhi
To
Tumko Sunaunga!

Saturday, December 23, 2006

Raat jalati hai

dhoop ne bhi mujhe itna nahi jalaya..
jitna ki yeh raat jalati hai..
tum jo apni bahoon ki garmi de do aakar
thaand mil jaayegi rooh ko..
sukoon aa jayega.

itna sanaata hai
apni aawaz bhi sunai deti nahi
tum jo apni aawaz ki ek boond de do aakar
aakhri saason par hai raat
bach jayeegi..........

Guzarish

Toot raha hoon main

Kai baar
Tumne hi bachaya hai mujhe
Aisa hone se
Par ab
Shayad tum bhi
Aisa na kar paao

Ab bas
Yahi guzarish hai tumse-

Aa jao
Ya bula lo...

Vidai

Aaj tak..
Kitna kuchh
kahta raha tumse

Par aaj..
Jab tum ja rahe ho

Tumhe dene ko
Shabd nahin hain
Jo bacha sakein tumhe

Bheed se
Ya tanhai se
Khud se
Ya ruswai se..

Khoya-Paya

Kabhi-Kabhi
Aisa lagta hai
Maine tumhe kho diya
Aur..
Mera sab kuchh lut gaya

Achanak
Tum mujhe
Kahin se pukar lete ho
Aur mujhe lagta hai
Maine
Jitna khoya
US se zyada pa liya

Mod

Tum
Bahut door se
Aate dikhe mujhe

Par..
Achanak tum kahan chale gaye
Is nirnayak mod par
Chhod kar mujhe

Aisa bhi karta hai koi!

Betiyan

Betiyon ko
Waqt se pahle
Maarne waale log

yeh nahin jaante shayd

Uska hi wajood
Mita rahe hain
Jinse
Unka wajood hai

Wednesday, December 20, 2006

Chhal

Yahan
Jahan main khada hoon
Aage jaana
Chhal hai
Duniya se
Aur
Peechhe jana
Tumse

Main...
Main kaun hoon faisla lene wala

Baant lo
Thoda khud mein
Thoda un mein
Bas
Mujhe yeh bata do...
Aise mein
Main apne dard kahan rakhunga

JHINI (Sweet Sister)

Ek chanchal si
Haseen ladki,
Karti hai shararat
jaise karta hai CHAAND
kabhi chhup kar baadlon mein
kabhi nikal kar baadlon se....

Aankhon se karti hai baatein
Gahre,Siyah
Samandar si...
Par JHINI aisi
ki dikhta hai

DIL EK MAASOOM SA
AUR
EK HASEEN ROOH BHI

Monday, December 18, 2006

Dhakka

chalta dil ruk gaya
ruki gaadi chal padi

dhakka jo laga tha!

Sharmindagi

gham bikta hai
badi zaldi
bazar mein
barson se
inhein bech kar hi
meri guzar hoti hai

lekin...

ek gham
jo tumne diya tha
yeh kahkar
suchcha sona hai yeh
bazar mein le gaya
to jana
sunahli pani chadha tha us par
peetal bhi nahin tha woh

aaj
bahut sharminda hoon main

ab unhein
main kya moonh dikhaun
jinhein maine yeh dikhakar
kaha tha naaz se
yeh gham JAANAM ka hai
sabse keemti hai

Bayan

koi shay tootTi
to tukde jod leta...
wajood ki keerchein
kahan dhundhun main

zakhm likh doonga
jawab mein
tere khat ke

rooh ke dard
kaise bayan karoon

Sunday, December 17, 2006

tere jaane ka waqt


tere jaane ka waqt
jab paas aata ja raha hai
to kuchh bhi nahin thaharta...

subah ka aata suraj
palak jhapakte hi
ja raha hota hai
jaise band mutthi se
ret giri ja rahi ho

bas ek main hoon
jo thahar sa gaya hoon
hairan sa
pareshan sa
tere jane ka waqt
jab paas aata ja raha hai...

tere intezar mein...


tere intezar mein
jo din aata hai
to katTa hi nahin
jo raat aati hai
to guzarti hi nahin

jo guzarta ja raha hai
woh main hoon
tere intezar mein...


tere intezar mein
jo rota hoon kabhi
dard kam nahin hota
jo hansta hoon
dard badh jate hain

jo badhta hai aur roz ghatTa bhi hai
woh main hoon
tere intezar mein...

thahra hoon

Bas waqt ka dariya hai jo bahat jaata hai
Tera gham jahan thahra tha main wahin pe thahra hoon.

Neend aane ki koshish mein main jagta rahta hoon
Ek khwab se toota tha main ab bhi adhoora hoon

Aankhein gar aaeena hai to aaeena jhootha hai
Khushki ki kaalikh ko main raat mein dhota hoon

Ek aag jo dil ki thi who aag ab dil mein hai
Khoon dhuan sa bahta hai main jalta kohra hoon

Tum dhoondhoge mujhko aur mil nahin paaoge
Main chaand ke peechhe ki basti ka andhera hoon.

main saansein leta hoon...

main saansein leta hoon
to tera naam padhta hoon.

koi saans atak gayee hai kahin,
tum jo aao
to aa jayegi.


tere saath guzre
dinon ke,palon ke
nishan pad gaye hain badan pe
tum jo chhoo lo
to mit jaayenge.


pichhli kai raaton se soya nahin hoon main
tum,
jo apni khushboo se lipta dupatta bhejo
to,
neend aaye,
so hi jaaun.


teri kitni hi hasratein poori ki maine
aur agar woh maine nahin ki
to aakar jaag tu hi is raat mein


mujhe aazad kar,
sone de.


subah hone ko hai
tu us waqt aayega kya?
mujhe to ummeed nahin.

kahin tujhko bhi aadat to nahin
auron ki tarah
tamashe banane ki, dekhne ki.....
main teri fitrat ko samjha hi nahin hoon
ab tak shayad.


tone hi sikhaya hai mujhe
intezar karna,
thak gayee hain meri aankhein
tera rasta takte takte,
ki ab jo soyengi
to jaagengi nahin kabhi.


shayad tab tu aayega
ya shayad
tab bhi nahin...........

tera deewana kab se soya nahin hai...


Jaagti aankhon se dekh raha hoon main sapne
Na jane kab se main soya nahin hoon

Hansta hoon kyunki main sahta hoon
Apni baatein main khud se kahta hoon
Khud se hi ulajh kar rah gaya hoon
Tadapta hoon kab se main roya nahin hoon

Raah nahin hai magar main chalta hoon
Bemanzil ghar se roz nikalta hoon
Shayad kabhi khatm hoga yeh raasta
Bhatka hoon kai baar main khoya nahin hoon

Lambi hai raat ki sooraj nahin aata
Thahra hoon main ki yeh pal hi nahin jaata
Jaagti aankhon se dekh raha hoon main sapne
Na jane kab se main soya nahi hoon

ibteda bhi nahin...inteha bhi nahin

Teri jeet ka hai matlab na meri haar ka koi
Ki ibteda nahin yeh ishq ki inteha bhi nahin

Tujhe khone ka darr roz laga rahta hai
Yeh alag hai ki tu mujhko mila hi nahin

Tu khuda hai mera to kabhi aake mil mujhse
Jo mil jaaye to phir tu khuda bhi nahin

Rone aur hansne ka farq nahin hai mujhko
woh dil mein nahin aur dil se gaya bhi nahin

Tune kal phir se mujhko pukaar liya JAANAM
Yeh saza bhi nahin aur main riha bhi nahin

Saturday, December 16, 2006

ek nazm

ek berang se benaam se din
thaka haara
jab apne hi bojh se
main daba hua
ghar aata hoon

roz shaam

ek nazm
mujhe kahti hai
aa mera haath thaam le
main tujhe kandha doon

waqt...

waqt ka thaan
khulata jata hai
pal-ba-pal
aur..
log pahante jaate hain
kaat kar
apne hisaab se

maine ek baar
kaati thi jo kameej
waqt ke thaan se
tang ho rahi hai....

saanson mein

Koi aata hai koi jata hai koi rooh basi hai saanson mein
Kuchh lams rakhe,kuchh aawazein,ek hansi rakhi hai saanson mein

Koi chala gaya aur seene mein kuchh gubar jaisa chhod gaya
Bas tanhai,bas bechaini, bas maut chhupi hai saanson mein

Kuchh lakeer hain mere haathon mein jinhe sab kahte hain kismet hain
Kuchh khwab jo maine dekhe the woh sab chhalni hain saanson mein

Main suntaa rahta hoon aur sab bas sawal karte jate hain
Koi sune zara mere dardon ke kuchh jawab bhi hain saanson mein

muntazir

har waqt tujhe milne ko
tarasta rahta hoon,

sadkon par kabhi galiyon mein
bhatakta rahta hoon,

saara din logon ki anaa ke liye bheed mein
hansta rahta hoon,

raat ko apne bistar pe pada tanha
sisakta rahta hoon........

Maa Bahut Yaad aati hai

So jata tha main
Maa mujhe khilati thi
Naraz jab bhi hua
Maa mujhe manati thi

Saham jata tha main
Maa god mein uthati thi
Zara sa door hua nazron se
Maa mujhko bulati thi

KAI BAAR AB MAIN BHOOKHA HI
SOTA HOON
NARAZ HUA KOI TO AKELA ROTA HOON
SAHMA HUA SA MAIN HAR WAQT RAHTA HOON
RAATON MEIN BHI GHAR SE DOOR RAHTA HOON

ab koi mujhe god nahin leta bas raat sulaati hai
tanhaiyon mein muje maa bahut yaad aati hai......

tum kabhi...

Tum kabhi haath thaam na paaoge
Tum mujhe bhool bhi na paaoge
jaaoge door to bichhdoge khud se
aaoge wapas to mujhko na paaoge....

inspired by Gulzar I call it gulzarish


Us mod pe baitha hoon
jis mod se jaati hain har ek taraf raahein.

Ek raah hai resham si kho jaati hai kuchh badhakar
Ek raah palatkar milti hai yahin aakar
Us mod pe baitha hoon jis mod se jaati hain har ek taraf raahein

Ek raah zara chalkar girti hai khalaon mein
Ek raah jo chalti hai udti hai hawaon mein
Us mod pe baitha hoon jis mod se jaati hain har ek taraf raahein

Woh raah nahin milti tum tak jo pahunchti hai
Sab daudti raahon mein meri raah sarakti hai
Us mod pe baitha hoon jis mod se jaati hain har ek taraf raahein

pyaar tumne...

Tum jo hansti ho to main bhi khush hota hoon
tumhare gam mein main bhi hamesha rota hoon
DIYA HAI YEH HAQ kiya hai pyaar tumne
ya kiya hai MUJH PAR GHAZAB KA ADHIKAAR TUMNE

kaash

Jaante sabhi Naam se sabko
Mere gaaon sa ek Shahar hota

Main le aaya tha mitti gaaon ki apne
warna jaane aaj main kidhar hota

Kitna mushkil hoga jahan yeh banana
Ya Khuda mera bas ek ghar hota

Teri ahad aur mera intezar
kabhi to teri baaton mein asar hota

Dil Dard ka ek tukda hai
Kaash mere seene mein patthhar hota

Yeh bulandi aur kitni tanhaai
Kaash Main sabke barabar hota

barf mein pighalti hui aag

बहुत कुछ कह जाती है खामोशी
बोल कर भी हम
कुछ नहीं कह पाते
ये तो एक अनसुना राग है

खामोशी को दबाने की
कोशिश करने वाली आवाजें
ये नहीं जानती शायद
ये तो बर्फ में पिघलती हुई आग है

आखिरी हदों में हूँ


रिश्तों के अजब मोड़ पर खडा हूँ
पीछे मुड़ नहीं चल सकता आगे चल नहीं सकता

इश्क की आखिरी हदों में हूँ
राख हो नहीं सकता और जल नहीं सकता

अधूरी बात पूरी रात

कहता हूँ एक बात
आज की रात
जानम! हो सके तो सोना मत
सुन सको गर बात मेरी
है छुपी जो बात में
जानम!हो सके तो रोना मत

ऐसी ही एक रात
कहने चला जब मैं तुमसे
ऐसी ही एक बात
एक बूँद सी टपक पड़ी थी
हथेली पर मेरे
जो आयी थी आँखों से तुम्हारे
आज तक
माफ़ नहीं कर पाया हूँ मैं
उस पल
उस बूँद के लिए,
अपने आप को

सच कहूं..
कह नहीं पाया हूँ अब तक
जो सोचता हूँ मैं
और जो कह गया अभी
सोचा नहीं था कभी

आज जब
कहने चला तो
फिर से सो गया तू
ख्वाब में फिर गो गया तू
रह गया मैं
अधूरी बात
पूरी रात!!

दर्द कहाँ होता है

हम साथ थे
सदियों से

मैं और मेरी परछाईं

अचानक एक दिन
वो चली गयी
अपना नया वजूद ढूंढ कर
और जाते जाते
मुझे ये कह गयी-
"मैं जानती हूँ तुम्हें दर्द होता है
मगर मुझे कुछ भी महसूस नहीं होता"

मेरी परछाईं

मैंने तेरे सौ खून माफ़ किये
तूने पहला खून मेरा ही कर दिया!!