Search This Blog

Friday, December 28, 2007

yaadon ke veeraane

In yaadon ke veeraanon mein
jab chaand adhoora milta hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zabaan ko chhilta hai

koi mom ka jaama dil par hai
furqat ki aanch se pighle hai
nas nas mein jo jam jaaye kabhi
aur kabhi aankh se fisle hai
ek talab akeli jagti hai
ek khwab akela sota hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zaban ko chhilta hai

tera ishq hai jaise karz koi
badhta hi hai aur chuke nahin
tu waqt ki tarah milta hai
tukdon mein guzre ruke nahin
saaye aur din ke rishte sa
main ghat.ta hoon gham badhta hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zabaan ko chhilta hai

Friday, November 23, 2007

Neend

Kitni hi raaton tak
sota nahin tha main..
jab bhi
koi aansu
tapakta tha
aankhon se tumhare...

Khoon tapakta hai
ab dil se mere
aana kabhi,dekh jana
jab
neend khul jaaye tumhari!!

Tuesday, October 16, 2007

Furqat

Waqt haathon mein mere sambhalta bhi nahin
teri furqat mein jo guzarta hai...guzarta bhi nahin

Mushkil hai bahut woh lamha bayaan karna
Toot.ta hai jo teri aas mein...marta bhi nahin

Ajab sa jaadoo hai khyaalon mein tumhaare
Dil jis se chhalakta hai aur bharta bhi nahin

Saanson ki tarah tu shaamil hai mujhmein
rahta bhi hai saath aur thaharta bhi nahin

Tuesday, October 2, 2007

Aksar

Aksar
ghar ke saamne
is baageeche mein
Lamp post ke neeche
bench par main baith jaata hoon..
apni dhadkanein
mahsoos karta hoon
aur apni
Saanson se saanson tak ki doori
zindagi si lagti hai
aur maut si kabhi....

Sochta hoon...
kabhi is bench par
tum bhi ho saath mere
halka halka halka
ujala ho...
aur
halka halka halka
Andhera...
Maaloom na pade
subah ki roshni hai
ya shaam ka dhundhalka koi....
aur main
hairaan hairaan hairaan sa
mahsoos karta rahoon
bas zindagi....
tumhari saanson se
meri saanson tak!!

Thursday, September 20, 2007

Khamoshi

baatein karte hue aksar
tum chup ho jaati ho
aur mujh tak
bas tumhari aati jaati saanson ki
aawaaz aati hai-
Ni-Re-Ga,Ni-Re-Sa
Raag yaman ke
aaroh-awaroh ki tarah

Tumhari khamoshi bhi kitni sureeli hai

Ek khat-Tumhare naam

Meri....
Aksar logon ko kahte suna hai duniya bahut chhoti ho gayee hai,magar kisi ne tumhare aur mere dil mein jhaank ke dekha hota to jaanta,duniya ab bhi utni hi badi hai ya shayad pahle se bhi badi.

kabhi kabhi mujhe apne kamre ki ghadi ke is pendulum se bhi rashq hone lagta hai.yeh har pal idhar se udhar to ja sakta hai....

Pyaas us hadd tak pahunch gayee hai jahan se door ki ret paani dikhti hai.Door rah kar bhi agar tum yun mere mann ko thandak pahunchaate ho to main zindagi bhar pyaasi rahoon.ek khat mein yun likha tha tumne.aur agle hi khat mein tumne apne aane ki taareekh kuchh yeh kahte hue batai thi-Doston ka bulawa thukra sakte hain,dushmanon ka nahin!!

Kal Gulzar saab ki ek nazm padhi-tumhaare saath pooraa ek din, bas kharch karne ki
tamannaa hai!! Aur yun lagta hai ki tumhare aane ka din meri jeb mein aane ki khushi se zyada darr ab mujhe uske kharch ho jaane ka hai....

tumhara...

Monday, September 3, 2007

Laawaris

Jhoothi muskaan liye
jab log apne khwab
is ummeed se de jaate hain
ki main unhein poora karne mein
madad karoon unki
yun lagta hai
Main sabka hoon
aur koi mera nahin...

kabhi yun bhi lagta hai
ki Sab mere hain
aur main kisi ka nahin
jab main ummeed liye jata hoon sabke paas
aur mujhe
apne khwab saabit karne padte hain

Sunday, September 2, 2007

tum jaisa

raat bahut der rooh jalai thi
subah dekha to
ek nazm padi thi baanhon mein
chehra uska kuchh tum jaisa tha
aur aawaz uski kuchh mujhse milti thi

raat bahut der rooh jalai thi
tujhse khwab mein lipat kar maine

Tuesday, August 21, 2007

Afsaana

shab-e-visaal aayee aake tal gayee
khali mila mujhko phir yeh paimana bhi

tu azeez bhi hai aazar bhi mera
ki qatil hai mera tu hi deewana bhi

raks karta tha maazi, aaj rashq karta hai
dilchasp hua hai ab yeh afsaana bhi

Sunday, August 5, 2007

Guftagu

lamhe todein waqt se
chalo raat ko jod lein
tare bhar lein daaman mein
aur chandni odh lein

raat ka sira bandhein
aur chaand ko thaam lein
guftagu chale sadiyon tak
badan ko zubaan dein

aiweinhi rooth jaayein
phir saanson se tewar utaar dein
aanch se jab pighalne lage
rooh ke zevar utaar dein

Sukoon

barson tak
bas ghadi ki suiyaan bhagti thi
aur raat wahin thahri rahti thi...
bechain sa main
neend ka intezar karta tha..

ek khwab main poora karna chahta tha...

barson baad
aaj zara si neend aayee thi
to raat ne daud kar
sooraj ko thaam liya

ab doosra khwab phir se adhoora hai!!

Dard

baarish hoti hai
to der tak
patte boond boond
riste rahte hain

dard chhupana asaan nahin hota

barson mein magar
darakhton ne
aasman ko chhua hai
ki isi baarish ne
jaDon ko
jene ki wajah di hai...

Dard se bhi pahchaan milti hai!!

Sunday, July 29, 2007

door

Main jo chala tha ghar se
tumne potli mein ek
zara sa kuchh diya tha
kaha jab bhookh lage kha lena
aaj bhi woh potli
yun hi padi hai

tujhse door hoon na
Maa!! bhookh nahin lagti

Roz

Roz
tum mujhe milte ho
aur kahin
kho jaate ho

jaise boondein
girti hain patton par
aur
fiasl jaati hain

Main roz
jeet ke bhi haar jaataa hoon

Sainik

main sarhad par
chalata hoon goliyaan
ki bachana hai mujhe
desh ko mere
ki zameen nahin
yeh maa hai meri

Maa hai meri
gaaon mein bhi
beemar akeli
magar
bacha nahin sakta hoon use

ki koi nahin wahan
jo de sake use
Goliyaan!!

Wednesday, June 27, 2007

dhhai akshar

suna hai
badal jaate hain
waqt ke saath
maayne
dhhai akshar ke

aaj subah
mila tumhara ek
'Blank Message'

badalne ko kuchh bacha nahin

Thursday, June 7, 2007

faasla

raaste chalte hi jate hain
aur manzil ka faasla
kuchh itna hai
ki arbon mein ginoon
to bhi kam padein

pahuncha hoon aaj jab
to jaana hai
deewaar hai ek
sheeshe ki
ki main chaand ko
dekh sakta hoon
mil nahin sakta

Thursday, May 17, 2007

Intezar

tere intezar mein

khwab jodta hoon
kabhi
khud bikhar jata hoon

aur kabhi
yun bhi hua hai
tumhari hi aarzoo mein
khud ko chhua hai

raat aati hai
mutthi se fisal jati hai
aur chaand bhi
roz badal jata hai

tere intezar mein

Monday, May 14, 2007

Sindoor

din ka tapta sooraj
jab utarta hai
samandar mein
lahrein kuchh yun lagti hain
ki jaise utar gaya ho namak unka
aur bas sindoor bhara ho unmein
ud raha ho...

apne labon ko
jab rakh kar mere honthon par
guzarti ho mujhse
yun lagta hai
ki jaise jism se
utar gaye hon jism saikdon
bas ek rooh hai
ud rahi hai!

Thursday, May 10, 2007

Raat

raat jab
utre zameen par
aur aankhein do
dekhti hon khwaab
ek hi

chalo na
dhoondhein phir se
jismon ke darmiyan
panah ek
rooh ki

Friday, May 4, 2007

Dye

वो पढ़ता था बहुत
मगर fail कर जाता था
घर और स्कूल
हर जगह
मार खाता था

घुटन और दहशत से
उस छोटे मन में
उस दिन
बड़ी बात आई
उसने लिख दिया कॉपी पर
'I want to dye'

पापा ने जब कॉपी देखी
थोड़ा दुख हुआ
और बहुत ग़ुस्सा आया
उन्होने उसे एक ज़ोर का
थप्पड़ लगाया

थोड़े थप्पड़ के ज़ोर से
थोड़ा पापा के दुख से
उसकी आँखें भर आईं
तभी कहा पापा ने-
"Idiot, Dont you know
the spelling of 'Die'!"

Wednesday, May 2, 2007

Bas yahi hai...

बस यही है ख़ासियत की कुछ नहीं है ख़ास मुझमें
जग में हूँ अनजान लेकिन है बहुत विश्वास मुझमें

मैं ना सोना या की चाँदी
मैं ना माणिक ना ही मोती
हूँ मगर संतुष्ट की मैं
हूँ किसी आँगन की माटी
मुझसे बनती है वो मूरत देवता का वास जिसमें
बस यही है ख़ासियत की कुछ नहीं है ख़ास मुझमें

लोग मुझसे पूछते है
क्या मेरी पहचान जग में
मैं ये पूछूँ पाप है क्या
गर रहा अनजान जग में
मैं स्वयं का ही पुजारी ना किसी की आस मुझमें
बस यही है ख़ासियत की कुछ नहीं है ख़ास मुझमें
********************************************************




bas yahi hai khaasiyat ki kuchh nahin hai khaas mujhmein
jag mein hoon anjaan lekin hai bahut vishwaas mujhmein

main na sona ya ki chaandi
main na maanik na hi moti
hoon magar santusht ki main
hoon kisi aangan ki maati
mujhse banti hai woh moorat devta ka vaas jismein
bas yahi hai khaasiyat ki kuchh nahin hai khaas mujhmein

log mujhse poochhte hai
kya meri pahchaan jag mein
main yeh poochhun paap hai kya
gar raha anjaan jag mein
Main swayam ka hi pujaari na kisi ki aas mujhmein
bas yahi hai khaasiyat ki kuchh nahin hai khaas mujhmein

Thursday, April 26, 2007

Maang aur Aapoorti

aasmaan mein phaile
koode se lekar
ungliyon ke beech ki
jagah tak
sab kuchh bikta hai...

barson baad
hum apne dost se
milne jaate hain
aur chakit ho jaate hain
ghar ki jagah
dukaan paate hain!!

kya sachmuch
itna kuchh hai
bechne ke liye??!!

Tuesday, April 24, 2007

अंत

उससे मैं भयभीत बहुत था
क्षुधा उसे है हर जन की
उसको कोई मोह नहीं है
मुझको माया प्रियजन की

आई जब वो सम्मुख मेरे
तब मुझको ये ग्यात हुआ
मृत्यु अंत नहीं है बल्कि
है पूर्णता जीवन की

Saturday, April 21, 2007

gumshuda

har subah
dhoop ke bahane
tumhe dekhne ko
main khidki kholta tha
tumse hi ghar mein roshni hoti thi!!
kuchh baras hue
tum dikhti nahin ab
khidki, jo khulti thi
aakaash ki jaanib
ab andar ki taraf bhi nahin khulti
in dinon ghar mein andhera rahta hai!!

Tum poochhti thi aksar
yeh chaand jata kahan hai
jata hai agar
to phir aata kyun hai!!
in dinon magar
Chaand poochhta hai mujhse
tum aayee thi kahan se
aur aayee thi to gayee kahan
gaye ho jab
to aati kyun nahin!!

woh kahani
jo sunaai thi tumne
ki jismein
ek raja ne jo bhi chhua
woh sona ho gaya..
kahani adhoori rah gayee thi!
main yahan baitha
patthar ho gaya hoon
tum aao kabhi
aur chhu lo mujhe
to jaan aa jaayegi mujhmein
kahani adhoori hai ab bhi!!

main kisi keede sa
gumshuda gumnaam hoon ab
tumhari talash mein
Tum aao
aur pukaro naam le kar mujhe
warna keedon ko shahron mein
dhuein se maarte hain...
Koi jaanta bhi nahin!!

Saturday, April 7, 2007

फ़ितूर

उस रेस्टो रेंट में
तुम जब भी मुझसे मिलने आती थी
जान बूझ कर
मुझे सताने को
देर कर जाती थी
अब भी कभी यूँही
मैं उसी रेस्टो रेंट में
चला जाता हूँ
देर... बहुत देर... शाम तक
बैठता हूँ
तुम नहीं आती
मैं चुपचाप उठ कर चला आता हूँ...

और एक शनिवार
जब तुम मुझसे मिलने नहीं आ पाई थी
अपनी एक सहेली के हाथों तुमने
एक गुलाब और एक चिट्ठी भिजवाई थी...
शनिवार को मैं अब भी
तुम्हारा इंतज़ार करता हूँ
तुम, तुम्हारी चिट्ठी....
कोई नहीं आता
मैं अपने ही बाग़ीचे से
एक गुलाब तोड़ लाता हूँ...

याद है
अक्सर शाम ढले
हम नदी किनारे जाया करते थे
कुछ देर बैठ कर
मैं कहता था तुमसे-
"कुछ कहो ना..तुम्हारी खामोशी बहुत चुभती है"
अब जब कभी
मैं वहाँ चला जाता हूँ
कुछ देर बैठ कर
ये कहता हूँ-
"कुछ कहो ना...."
फिर चुप हो जाता हूँ

exam का वक़्त था वो
जब मैं जागता रहूँ, पढ़ता रहूं
इस लिए तुमने सारी रात
मेरा फ़ोन बजाया था
अब भी कभी
जब exam आता है
मैं यूँही
आँखें बंद कर लेट जाता हूँ
कुछ देर में ख़ुद ही उठ जाता हूँ
फ़ोन बंद करके
पढ़ने लग जाता हूँ ...

जब भी तुम नाराज़ होती थी
तुम्हें हँसाने के लिए
मैं बड़ा ही बेसुरा गाता था
" बड़े सिंगर बनते हो"
कह कर तुम
हँसने लग जाती थी
आईने के सामने कभी कभी
मैं वही गाने गाता हूँ
कोई कुछ नहीं कहता
गला भर आता है
मैं चुप हो जाता हूँ ...

और उस दिन
जब तुम जाने लगे
"मैने कहा मैं मर जाऊंगा
तुम रुक जाओ"
और तुमने कहा
"तो मर जाओ"
तुम्हें पाने के लिए अब भी
वही सारे पुराने नये
फ़ितूर करता हूँ
तुम नहीं मिलती
अब मैं हर रोज़ मरता हूँ

Thursday, April 5, 2007

shikaayat

yaad hai
jab bhi dekha karta tha tumhe
nam aankhon mein

main bahki bahki si baatein karta tha
muskurata hua...
yeh soch kar
ki mujhe khush dekh kar
shayad tum bhi khush ho jaao
magar..
tumhe hamesha yeh shikaayat rahi
ki mujhe tumhara koi gham nahin


ab
jab tum nahin ho
aankhon mein aansoo liye
yeh sochta hoon
shayad tum aao phir se
jab tak ki
mere aansoo sookh chuke honge
aur
jab tumhe dekh kar main muskuraaunga
tumhe phir yeh shikaayat hogi
mujhe tumhara koi gham nahin

...

rahti hain saansein bahut bhaari-bhaari
na jaane seene mein uljha hai kaun

khuda hai kahin gar kaabe-kalise mein
to chehre mein tere yeh dikhta hai kaun

buna tha.....

sitaare-sayyaron se bante hain rishte
magar mera taara kuchh toota hua hai

khuda maan kar maine to ki butparasti
magar pathhar bhi mujhse rootha hua hai

sweater ki tarah buna tha jo rishta
ek dhaaga kahin uska chhoota hua hai

Sunday, April 1, 2007

i dont know what!!

The world looks at me
and think i am happy I am flying

i am scared with the sky
and lonely i am crying

please come and gimme a hug
save me Mom I am dying

Friday, March 30, 2007

Main

paraaye chehre par
kya likha hai
yeh padhna utna hi aasaan hai
jitna mushkil hai
apne chehre par
prajjwalit ibaarton ko
jaan paana

ek dariya
uker sakta hai
saare chaand-taare-aakaash
magar khed hai
apni gahraai jaan-ne mein
woh samarth nahin hai
zara bhi nahin

Thursday, March 15, 2007

Panah

main bhatakta hoon is zameen par kab se

sarhadein milti hain
Vatan nahin milta
Vatan mein shahar, shahar mein
Apni galiyan dhoondhta hoon
ki unhi galiyon mein
kahin ek ghar hai mera

aur
bujhti saanson ki tarah
jab bujhta hai sooraj
bhatakta hoon
jism mein kabhi
rooh mein tere

yeh kaun si zameen ki
talash hai mujhko
ki
panah-e-aasman bhi
nahin milta

Wednesday, March 14, 2007

Holi

main yeh soch kar chala tha
ki door jakar
tumhe bhool jaunga
magar...

teri baatein
jo utri thi
zahan mein
phoolon ki tarah
ab
unke kaante
chubhne lage hain...
boond-boond
khoon tapakta rahta hai
der talak
aur
ek aatishin surkh
laal rang
faila hai
badan par mere

Ek raat
jo di thi tumne
tohfe mein
garm thi bahut
ab pighalne lagi hai
aur uski siyahi
kuchh is tarah
lagi hai chehre par
ki
kitni bhi dhoop maloon
utarti nahin woh

Nishan
apne garm honthon se
jo diya tha tune
mere honthon par...
ek sharara
rah gaya tha
mere honth
kaale pad gaye hain

yeh kaisi holi
kheli hai tune
ki rang
kitne bhi
utaaroon main
phailte jate hain
badan mein
zahar ki tarah

Ab
kitni bhi door
jaun main
tum
aa jaoge
saamne mere...
ki zahar
kuchh tere
bache hain ab tak
aur main
Zinda hoon!!

AajKal

main bahut khush hoon...

pal-pal main tere saath hoon
har pal main tere paas hoon

mera yaqeen rakhna...

main kaheen bhi rahoon
main nahin bhi rahoon

main bahut khush hoon...

pal-pal main tere saath hoon
har pal main tere paas hoon



bas aajkal main thoda udaas hoon!!

Saturday, March 10, 2007

Triveni on Armaan

zameen chubhti thi jab
aasman ka armaan tha

sitare chubhte hain ab

Ab to...

Pahle aati thi teri yaad roz satane ke liye
Ab to aansoo bhi nahin aate manane ke liye

Jab bhi chaha halaat se samjhauta karna
Koi aa jata hai apna haq jatane ke liye

Apna rishta ab hai shatranj ki bisaat sa
tera har kadam hai mujhko harane ke liye

Wednesday, March 7, 2007

Ummeed

us sard si andheri raat mein
aankhon ne dil mein
ek kachcha sa
khwab boya tha...

shahad si dhoop
ab chadhne lagi hai
aur
zahan ki shaakh par
laga woh khwab
ab pakne laga hai

dil ab ummeed mein hai
dil ab ummeed se hai

Darr

ना जाने कब से
ऐसा कर रहा हूँ
जो हूँ वही होने से
डर रहा हूँ

ना जाने कौन सी बात से
मैं परेशान हूँ
कुछ दिनों से
ख़ुद से अनजान हूँ

सारी दुनिया के आगे
मैं अड़ा हुआ हूँ
ये बस मैं जानता हूँ
कितना डरा हुआ हूँ

Tuesday, March 6, 2007

Khyaal

Jab kabhi
ghar se nikla
yeh sochkar
aaj tumse miloonga...

bheed mein
muskurate hue
daudte-haanfte
kuchh hairaan se
Kuchh pareshaan se
dikhe
hazar chehre
aur
har chehre mein
bas Tum!

Jaise
Jab kabhi
baitha koi nazm likhne
yeh sochkar
aaj sab kuchh kah doonga..

zahan mein
sargoshiyan karte
machalte hue
kuchh sote hue
kuchh jaagte hue
aate hain
hazar khyal
aur
har khyal mein
sirf tum!

Aur khyal yeh
kuchh is tarah
uljhe-lipte hain
saanson mein
ki saanson ka yeh qaidi
Khyalon ka qaidi ho gaya hai
ya
Shayad tumhara!

Saturday, March 3, 2007

Phir Milenge

Aaj Pahli baar Afroz aur Nidhi se mila....un lamhon ke liye-


Lamhe -
Jinhe socha to tha
magar dekha nahin tha...
Aaj unse Guzar gaya main

Tumse milkar
Bahut kuchh tha kahna
Mila to laga
Pahle hi...
Sab kuchh
Kah chuka hoon main

Waqt kuch yun guzra
ki bas yahi kah saka-
PHIR MILENGE



Thursday, February 22, 2007

Nishan

chalte-chalte...
main us mod par aa gaya
jahan naye shahar ki
sarhad shuru hoti thi

Palat kar dekha..
badi ummeed se-
aakhiri baar!
Tumhe na aana tha...
na tum aaye.

Roz ki tarah
chaand ka tukda
nigal liya
aankhon se..
aur
phir chal diya

Aaj
Saikdon saalon ki
tanhai ke baad
apni khidki par khada
yeh sochta hoon-

Zindagi ab tak nahin aayee
Maine kadmon ke nishan to chhode the!

Saturday, February 10, 2007

Aaj Dekha to....


ek gulaab jo tune diya tha...
sambhal kar kaante utaare the...
ek kaanta phir bhi rah gaya tha...

aaj
woh phool sookh gaya..
kaanta magar woh ab bhi chubh jata hai..

kabhi jab dekhta hoon
woh phool main!!

Wednesday, January 24, 2007

Ek Khyal...

Mujhko kabhi yun ek mauka to do

Chalte -chalte thak jao tum kabhi
Utha loon main tumhe god mein...
...Bas tum Jaano yeh ek bahana ho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..


Kho jaao tum kahin jab bheed mein
dhoondhun main tumhe raste raste...
...Chhupi tum kahin muskati raho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..


Gir jaaye koi lat jab aankhon pe
Main haathon se use theek karoon...
...Tum chupke se use girati raho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..


Rooth ke baithi ho tum mujhse
main manaun tumhe ek bose se...
...Tum jaan ke galtiyan karti raho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..


Intezar karo tum roz shaam mera
main chupke se daraun tumhe...
...Tum nam aankhon se muskati raho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..


Aaogi tum wapas yeh sochke main
roz ek khwahish banata rahoon...
...Tum aane ki ummeed jagati raho

Mujhko kabhi yun ek mauka to do..

Wednesday, January 3, 2007

Sahra

Woh jo sahra hai aaj
Kabhi wahan ek shahar hua karta tha!

Ek shahar
Jahan do saye
Ghoomte the haathon mein haath liye
Woh shahar
Jiski har deewar par
Tera naam likha hota tha
Shahar-
Jiski fiza mahakti thi
Teri zulfon ki khushboo se
Har baashinde ke chehre mein
Tera chehra chhipa hota tha
Us shahar mein

Woh shahar jahan ab ek sahra hai!

Ab bhi jab kisi mahfil mein
Mil jate ho tum achanak
Aur
Tumhari aankhein chhu jati hain mujhe
Meri saansein mahak uthti hain
Tere pairahan ki khushboo se
Anjane hi jab main
Chhoo leta hoon tumhe
Ek shahar achanak hi jaag uthta hai

Woh shahar jahan ab ek sahra hai!

Aaj-
Tujhse nisbat ka
Woh ek dhaaga bhi toot raha hai-
Main us mod par khada hoon
Jahan yeh sahra aur shahar milte hain

Ek khushboo
Ek lams
Ek naam
Aur
Ek shahar
Mujhe vidaa karne aaye hain

Woh shahar jahan ab ek sahra hai

Monday, January 1, 2007

Ek aur Saal

Ek pal ne uthai nazrein aur ek saal takhleek hua
Ek baras khatm nahin hua bas taqmeel hua

Naye saal mein magar kadam kuchh sambhal kar rakhna
Sunte hain beete baras kadmon ke nishan dhoondh lete hain!