Search This Blog

Friday, March 30, 2007

Main

paraaye chehre par
kya likha hai
yeh padhna utna hi aasaan hai
jitna mushkil hai
apne chehre par
prajjwalit ibaarton ko
jaan paana

ek dariya
uker sakta hai
saare chaand-taare-aakaash
magar khed hai
apni gahraai jaan-ne mein
woh samarth nahin hai
zara bhi nahin

Thursday, March 15, 2007

Panah

main bhatakta hoon is zameen par kab se

sarhadein milti hain
Vatan nahin milta
Vatan mein shahar, shahar mein
Apni galiyan dhoondhta hoon
ki unhi galiyon mein
kahin ek ghar hai mera

aur
bujhti saanson ki tarah
jab bujhta hai sooraj
bhatakta hoon
jism mein kabhi
rooh mein tere

yeh kaun si zameen ki
talash hai mujhko
ki
panah-e-aasman bhi
nahin milta

Wednesday, March 14, 2007

Holi

main yeh soch kar chala tha
ki door jakar
tumhe bhool jaunga
magar...

teri baatein
jo utri thi
zahan mein
phoolon ki tarah
ab
unke kaante
chubhne lage hain...
boond-boond
khoon tapakta rahta hai
der talak
aur
ek aatishin surkh
laal rang
faila hai
badan par mere

Ek raat
jo di thi tumne
tohfe mein
garm thi bahut
ab pighalne lagi hai
aur uski siyahi
kuchh is tarah
lagi hai chehre par
ki
kitni bhi dhoop maloon
utarti nahin woh

Nishan
apne garm honthon se
jo diya tha tune
mere honthon par...
ek sharara
rah gaya tha
mere honth
kaale pad gaye hain

yeh kaisi holi
kheli hai tune
ki rang
kitne bhi
utaaroon main
phailte jate hain
badan mein
zahar ki tarah

Ab
kitni bhi door
jaun main
tum
aa jaoge
saamne mere...
ki zahar
kuchh tere
bache hain ab tak
aur main
Zinda hoon!!

AajKal

main bahut khush hoon...

pal-pal main tere saath hoon
har pal main tere paas hoon

mera yaqeen rakhna...

main kaheen bhi rahoon
main nahin bhi rahoon

main bahut khush hoon...

pal-pal main tere saath hoon
har pal main tere paas hoon



bas aajkal main thoda udaas hoon!!

Saturday, March 10, 2007

Triveni on Armaan

zameen chubhti thi jab
aasman ka armaan tha

sitare chubhte hain ab

Ab to...

Pahle aati thi teri yaad roz satane ke liye
Ab to aansoo bhi nahin aate manane ke liye

Jab bhi chaha halaat se samjhauta karna
Koi aa jata hai apna haq jatane ke liye

Apna rishta ab hai shatranj ki bisaat sa
tera har kadam hai mujhko harane ke liye

Wednesday, March 7, 2007

Ummeed

us sard si andheri raat mein
aankhon ne dil mein
ek kachcha sa
khwab boya tha...

shahad si dhoop
ab chadhne lagi hai
aur
zahan ki shaakh par
laga woh khwab
ab pakne laga hai

dil ab ummeed mein hai
dil ab ummeed se hai

Darr

ना जाने कब से
ऐसा कर रहा हूँ
जो हूँ वही होने से
डर रहा हूँ

ना जाने कौन सी बात से
मैं परेशान हूँ
कुछ दिनों से
ख़ुद से अनजान हूँ

सारी दुनिया के आगे
मैं अड़ा हुआ हूँ
ये बस मैं जानता हूँ
कितना डरा हुआ हूँ

Tuesday, March 6, 2007

Khyaal

Jab kabhi
ghar se nikla
yeh sochkar
aaj tumse miloonga...

bheed mein
muskurate hue
daudte-haanfte
kuchh hairaan se
Kuchh pareshaan se
dikhe
hazar chehre
aur
har chehre mein
bas Tum!

Jaise
Jab kabhi
baitha koi nazm likhne
yeh sochkar
aaj sab kuchh kah doonga..

zahan mein
sargoshiyan karte
machalte hue
kuchh sote hue
kuchh jaagte hue
aate hain
hazar khyal
aur
har khyal mein
sirf tum!

Aur khyal yeh
kuchh is tarah
uljhe-lipte hain
saanson mein
ki saanson ka yeh qaidi
Khyalon ka qaidi ho gaya hai
ya
Shayad tumhara!

Saturday, March 3, 2007

Phir Milenge

Aaj Pahli baar Afroz aur Nidhi se mila....un lamhon ke liye-


Lamhe -
Jinhe socha to tha
magar dekha nahin tha...
Aaj unse Guzar gaya main

Tumse milkar
Bahut kuchh tha kahna
Mila to laga
Pahle hi...
Sab kuchh
Kah chuka hoon main

Waqt kuch yun guzra
ki bas yahi kah saka-
PHIR MILENGE