Search This Blog

Tuesday, August 21, 2007

Afsaana

shab-e-visaal aayee aake tal gayee
khali mila mujhko phir yeh paimana bhi

tu azeez bhi hai aazar bhi mera
ki qatil hai mera tu hi deewana bhi

raks karta tha maazi, aaj rashq karta hai
dilchasp hua hai ab yeh afsaana bhi

Sunday, August 5, 2007

Guftagu

lamhe todein waqt se
chalo raat ko jod lein
tare bhar lein daaman mein
aur chandni odh lein

raat ka sira bandhein
aur chaand ko thaam lein
guftagu chale sadiyon tak
badan ko zubaan dein

aiweinhi rooth jaayein
phir saanson se tewar utaar dein
aanch se jab pighalne lage
rooh ke zevar utaar dein

Sukoon

barson tak
bas ghadi ki suiyaan bhagti thi
aur raat wahin thahri rahti thi...
bechain sa main
neend ka intezar karta tha..

ek khwab main poora karna chahta tha...

barson baad
aaj zara si neend aayee thi
to raat ne daud kar
sooraj ko thaam liya

ab doosra khwab phir se adhoora hai!!

Dard

baarish hoti hai
to der tak
patte boond boond
riste rahte hain

dard chhupana asaan nahin hota

barson mein magar
darakhton ne
aasman ko chhua hai
ki isi baarish ne
jaDon ko
jene ki wajah di hai...

Dard se bhi pahchaan milti hai!!