Search This Blog

Monday, September 3, 2007

Laawaris

Jhoothi muskaan liye
jab log apne khwab
is ummeed se de jaate hain
ki main unhein poora karne mein
madad karoon unki
yun lagta hai
Main sabka hoon
aur koi mera nahin...

kabhi yun bhi lagta hai
ki Sab mere hain
aur main kisi ka nahin
jab main ummeed liye jata hoon sabke paas
aur mujhe
apne khwab saabit karne padte hain

2 comments:

  1. poem padhte padhte lag raha tha ke WOW kya likha hai....but...last line mujhe utni touchy nahin lagi..zyada effective kuch expect kiya tha

    ReplyDelete
  2. .
    .
    tum dargahon ki,
    roshan khidkiyon se ho

    tumhari phulkariyon mein
    baandh jaate hain
    sab mannat ke dhaage


    tum apni muradoN ko
    khud mein hi lipta lo

    khuda jab gaur farmaye
    rasaaii kaam aa jaye
    !

    ReplyDelete