Search This Blog

Friday, December 28, 2007

yaadon ke veeraane

In yaadon ke veeraanon mein
jab chaand adhoora milta hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zabaan ko chhilta hai

koi mom ka jaama dil par hai
furqat ki aanch se pighle hai
nas nas mein jo jam jaaye kabhi
aur kabhi aankh se fisle hai
ek talab akeli jagti hai
ek khwab akela sota hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zaban ko chhilta hai

tera ishq hai jaise karz koi
badhta hi hai aur chuke nahin
tu waqt ki tarah milta hai
tukdon mein guzre ruke nahin
saaye aur din ke rishte sa
main ghat.ta hoon gham badhta hai
har nazm zahan ko chubhti hai
har lafz zabaan ko chhilta hai

2 comments:

  1. Hmm... abhi tak theek nahi kiya "veerano".. naya saal mana rahe ho lagta hai.. poem ko bhool gaye.. ha ha ha... but I am saying this again... bahot sundar nazm hai Piyush..

    ReplyDelete