Search This Blog

Saturday, September 20, 2008

Nazm

Maine jab apni pahli nazm likhi thi
Apni badi badi si aankhon ko
Kaise tumne aur bhi bada karke
Dekha tha mujhko...
Ab to meri nazmein bazaaron mein bikti hain
Taareefein bhi milti hain
Aur daam bhi achhe lagte hain
Aur jab koi padhte padhte
Aansoo ek giraataa hai
Chupke se
Apni nazm se jhaank kar dekh liya karta hoon main-
kahin ye aankhein wahi to nahin!!

Monday, May 12, 2008

Alfaaz

har subah
tumhaari sureeli aawaaz se jagna..
aur saare din
ek ek lafz ko
kaanon mein yun chhupa ke rakhna
ke jaise aathwan sur ho koi...

aur narm narm
halke se
kuchh lafz woh hain
jo utar jaate hain dil mein
gudgudi sa karte hue saare din..
aur honthon pe mere
muskuraate rahte hain


aur bheega bheega
chhalka sa
ek lafz woh bhi
jo chhu jaaye dard jab
aankhon mein utar aata hai
lab nahin hilte magar
aankhon se ada ho jata hai...

tumhaari aawaaz ke
rang hain kitne...
saare din
mujhe kitne hi rangon mein
rang jaate hain
ek utarta nahin
aur kitne hi rangne ko
chupke se chale aate hain!!

Friday, May 2, 2008

Cigarette :)

rooh hai jo ki sulag rahi hai
jism dhuein mein uda raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon


band hain aankhein jaga hua dil
tumhari hasrat jyun guzra kal
tumhari shaklein bana raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon

nashe si chadhti hai zindagaani
utregi jab bas lagegi paani
sookhe patte uda raha hoon

phir ek cigarette jala raha hoon

Tuesday, April 22, 2008

नयी कहानी

वो कुछ तो मुझसे छुपा रहा है
नयी कहानी बना रहा है

जो शख्स मेरा खुदा रहा था
मेरी खुदी को मिटा रहा है

मैं खुद को कब से बचा रहा हूँ
वो शाख कब से हिला रहा है

शराब सोच के पी रहा हूँ
ज़हर वो मुझको पिला रहा है

मैं अब भी थोड़ा सुलग रहा हूँ
वो राख मेरी उड़ा रहा है

Monday, April 7, 2008

dard (chhoti nazm)

dard...
hota nahin hai ab..
ya shaayd
dard ki aadat ho gayee hai!!

Friday, February 29, 2008

Dard

Andheri raat
guzar bhi jaayee...
kuchh bondein..
rah jaati hain patton par...
patte
sisak rahe hon jaise...

dard apni nami chhod jata hai...

waqt badalte magar
der nahin lagti..
zara si dhoop lagte hi
patte chamak utnte hain..
thande pade rishte ko
garmi mili ho jaise..

dard ki haisiyat kya hai!!