Search This Blog

Wednesday, October 7, 2009

Ghazal

Tera mera kiska tha
Beet gaya woh jiska tha

Ab woh kiska kissa hai
Kal jo mera hissa tha

Dariya ko to paar kiya
Lekin aage sahra tha

Ek sapna jo yaad raha
Achha tha par mahnga tha

Mujhse aage kaun tha woh
Jab main sabse pahla tha

Mujh mein kachchapan tha sara
Tumko ek tajurba tha

Monday, March 9, 2009

Main, Andhera, Aawaargi


Manzar-dar-manzar
Roo-ba-roo,Pasmanzar
Bas taareeqi hi taareeqi
hai taari

-Main



Na subah hoti hai
Na pata hai shaam ka
Bas raat hi Raat
hai Saari

- Andhera



Udhaar ki hain saansein
Udhaar ki hai Zindagi
takhallus tha aawaargi
Anjaam hai aawaargi

-Aawaargi