Search This Blog

Saturday, February 20, 2010

हँसना-रोना,पाना-खोना
पा कर खोना, खो कर पाना
सीधे रस्ते,ठोकर खाना

इन बातों का क्या मतलब है
इन बातों को भूल चुका हूँ


वीरानो में, सन्नाटो में
दर्द की अंधेरी रातों में
अपनी ज़ात को छोड़ आया हूँ

हर ज़र्रा मुझमें शामिल है
मैं ज़र्रों में डूब गया हूँ


मैं शहरों में, मैं जंगल में
पर्वत-पर्वत,सहराओं में
अपनी ही धुन में रहता हूँ

दुनिया मुझको देख रही है
मैं दुनिया से ऊब चुका हूँ








hansna rona,pana khona
pa kar khona kho kar pana
seedhe raste,thokar khana

in baaton ka kya matlab hai
in baaton ko bhool chuka hoon


veeraanon mein, sannaaton mein
dard ki andheri raaton mein
apni zaat ko chhod aaya hoon

har zarra mujhmein shamil hai
main zarron mein doob gaya hoon


main shahron mein, main jungle mein
parvat-parvat,sahraaon mein
apni hi dhun mein rahta hoon

duniya mujhko dekh rahi hai
main duniya se oob chuka hoon